Gauri ke paas zariya nahi tha fir bhi usne apne man aur shareer ko ek jaisa banane ko chuna. Uska man uske shareer se ab mel khata hai.
Ritu ke paas sab kuch tha par unhone apne man ki ki aur shareer ko man jaisa banaana nahi chaha.
Main jaanti hu is sangharsh aur dard ka koi saani nahi hai. Par kabhi kabhi sochti hu... kya hum sab isi sangharsh ke shikaar nahi hai.
Kya hum shareer se wo hai...jo man se hona chahte hai?
Main lekhak hona chahti hu. Mann aisi hi befuzul ki baatein soch sochkar likhte rehna chahta hai ..aur shareer ko kewal dusro ka likha padna hai. Dusre ko lekhak banta dekhna hai.
Mann aur shareer ka mel kitno ko naseeb hai?
No comments:
Post a Comment