Sunday, March 29, 2020
24th March 2020
Lockdown shuru hone se ek din pehle ...shukr hai mishti ke daant me pehle hi swelling aa gayi thi. Doctor se phone par Dawa puchkar Tuesday, 24 March 2020 ķo le aayi thi. Saath me sabziyan bhi...
Thursday, March 26, 2020
Corona lockdown day 6
Har din ek naye challenge ke saath aata hai. Kabhi site down, to kabhi purane pictures overwrite ho gaye. Is waqt jab sab ghar par hai, kabhi kabhi mann karta hai sabke saath baithke tv dekhu, ya mishti ko koi nayi cheez sikhau. Par naukri to karni hai....
Kal raat barish hone lagi...bijli kadkne lagi aur light chali gayi. Adi ne kaha bilkul Chennai jaisi situation hai. Par pata nahi kyu Chennai ki baadh me mujhe kabhi darr nahi laga tha itna. Haan shayad wo kuch din mushkil the jab hum hotel me hote the aur Adi ko office jana padta tha. Par andar se kahi na kahi ye pata tha ki pani utar jayega aur sab normal ho jayega. Samaan ki to kuch khaas tension kabhi maine li nahi.
Par ab...ab ek ajeeb sa darr hai...shayad isliye kyuki pata hi nahi ye sab kab khatm hoga. Kal raat ki barish me mano aisa laga jaise upar baitha koi hum insano se bahut naraz hai. Kai baar hota hai na... aapka bachcha itna bigad jata hai... ghar ki itni cheeze tod-fod deta hai ki aap gusse me aakar use khoob marte pitate hain, fir use kamre me band kar dete hai. Lekin jab aapka gussa shant ho jata hai to khud hi rone lagte hain aur sochne lagte hain ki aapki parvarish me kaha kami aa gayi thi??
Bhagwaan bhi shayad yahi sochke rote honge....hum to apne bachcho ko jald hi maaf kar dete hain aur agli galti karne ke liye chhod dete hain...par kya 'Wo' aisa karenge?
Subscribe to:
Posts (Atom)