Monday, July 22, 2024

Kisi din aisa bhi hoga

Kisi din aisa bhi hoga...
Samandar kinaare ghanto baithungi
Beparwah... besudh ghumungi
Bina deadline ke ek kitaab likhungi
Chap jayegi.. toh khoob bikegi
Award lene Delhi jaungi
New York jaungi
Inaam ke paise kaafi honge jeevan bhar ke liye
Fir bhi jaha thehrungi... waha likhungi..
Koi chehre se nahi janega..
Par naam sabko pata hoga..
Ek din tehalte tehalte kisi ke haath me apni kitaab dekhkar sukoon ki muskan ke saath saas lungi..
Aur isi sukoon bhari muskan ke saath chali jaungi ek din.
Do kitaabein reh jayengi...
Bina deadline ke likhi hui..
Tehalte tehalte besudh ghumte huye likhi hui...
Aaj bhi padh raha hoga koi wo kitaabein..
Google karke dekh raha hai hoga
Kaun hai ye lekhak
Jo bas do kitabein likh gaya
Bina deadline ke...
Khulkar jee gaya...


No comments:

Post a Comment