Hairat ki baat hai main dono nahi hu (touch wood). Jab sab theek tha to bada lagta tha ki chhutti wale din bahar jaye. Shayad isliye kyunki dusron ko bahar jata dekhti thi.
Par is lockdown se pata chala ki aisi koi dili khwahish wahish nahi hai meri ghumne ki. Bas Adi aur Mishti saath ho to sab mast hai :D
Shayad Shadi ke baad pehli baar Adi itna sara samay hamare saath bita rahe hain. Usually wo itni madad bhi nahi karte the, par ab sabne kaam baat liye hain, to ek alag hi satisfaction hai.
Office theek 9 baje se shuru ho jata hai aur sham ke 7-7:30 dam lene ki bhi fursat nahi hoti. Fir bhi dophar ka khana khake ek daanv aur raat ke khane ke baad ek daanv ludo ka jaise must hai.
Pehle jhadu, pocha, bartan ke liye maid thi. Cook bhi rakh li thi, fir bhi sham ko thak jate the hum dono. Ab Adi ki bhi meeting shuru ho gayi hai. Mera office to din bhar ka hai hi hai. Fir bhi hum dono baki saare kaam time par manage kar lete hain.
Main subah bartan, breakfast aur lunch bana deti hu 9 se pehle aur Adi kapde aur safayi ka kaam kar dete hain. Mishti bottles bhar deti hai aur din bhar zara bhi pareshan nahi karti :)
Itne sabke baad bhi raat ko hum sab ludo khelne ke liye bilkul fresh hote hain.
Shayad isliye kyunki kaam zyada to hai, par sabne khushi khushi baat liya hai. Dusri cheez ki koi bhagambhaag nahi hai. Hum apni taraf se time ke hisaab se kaam karte hain, lekin kahin pahochne ki hod nahi hai... aur shayad yahi wajah hai ki salary increment na hone ke baad bhi hum khush hai, santusht hain...kyunki shayad jeevan me bhi kahi pahunchne ki hod nahi hai ab :)
Bas is darr ko chhodkar baki sab kuch aisa hi rahe hamesha to kitna achcha ho na...
Achcha ek aur mazedar cheez... kuch time pehle ludo khelte hue jab gitti ghar tak pahunch gay to isko Adi ne kaha...meri gitti pug gayi :D
Bas tab se ghar pahunchne ka naam pug gayi pad gaya.
Mishti ki zubani - Mumma pugayi kyu nahi gitti?
Papa puga lo apni gitti...
In dono ke liye main kitni shukraguzar hu....ye to main bayan bhi nahi kar sakti... zindagi me isse zyada aur chahiye bhi kya :)
No comments:
Post a Comment