fir bhi main school jata tha...
ghar ki chhat tapakti thi,
fir bhi main school jati thi
meelo paidal chalta tha..
fir bhi main school jata tha..
khet me mazduri karti thi,
fir bhi main school jati thi...
Baba bojh dhota tha,
Main unko sahara deta tha..
sookhi roti khakar jaise taise guzara hota tha,
fir bhi main school jata tha!
Maa ghar jakar bartan manjti
Main bhi jhadoo lagati thi,
Malkin ki daant khaati thi,
fir bhi main school jati thi.
Sochta tha padh likhkar bhaag apne badlunga,
Malik ke bachcho jaise main bhi bachpan ko jee lunga
Socha tha paath saare padhkar
main bhi collector ban jaungi
mari jaisi har bachchi ke haatho me fir jhadu nahi kalam dungi
Par kaise...
Par kaise...
Shiksha wo mandir ab na dwar apne kholta hai
mahamari ka ye khauf mere bhavishya par bhi dolta hai
Malik ke bachchon ke jaise hum kaha se mobile layein?
Malkin ki gudiya ke jaise internet ka kharch kaun uthaye?